Naya ek mod hai nayi si raah hai naya sa savera ye aur nayi nayi shaam hai
har ek kadam pe naya ek viraam hai kadam kabhi hain tham se jaate kabhi naya sa aayaam hai
Dil kabhi hai shaant ho jaata aur kabhi ek bhuchaal hai,
kisi pal ek khushi si hai naachti
aur dusre hi pal ek tufaan hai
Naa jaane kaisi ye nayepan ki hawa hai
ek pal ko behti hai aur dusre pal khamosh si
jaise ek nayi dulhan aur naya Ghar
ek pal ko chahchhati aur dusre hi pal sakuchai si
har ek ahsaas naya sa hai
nayi nayi chahat ho jaise
nayepan ka ahsaas to hai
par ek swachand panchi si udaan nahin
kuch to hai aisa jo jakde hai man ko
aisa kuch jo pakde hai man ko
naa jaane ye kya hai
naa jaane ye kyun hai
kya yahi hai naya savera
mera naya Aasmaan
jo shayad hai bhi ya nahin mera
ye naya savera ........
ye naya Aasmaan ........
umeedon ka naya Jahaan .......
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें